Sunday, 31 January 2016
My own poetry
Aatish e hijer lagy hai koi bujae usey
Barhe hai jisme adawat koi mitae usey
Gae hum mit mger uski gali main ab bhi
Phire hai ruswa meri khaq koi uthae usey
Na khof e moat ha dil ko na khushi ha hayat ki
Meri hasty ka yeh kisa koi sunae usey
Jahan b jaon milty hain yahi perchaya mujh ko
Bujhi hai aas ki shama koi jalae usey
Chalenge chor ker danish kisi din uske kooche ko
Bana ker mujko afsana koi sunae usey
Subscribe to:
Comments (Atom)